chahe sahra mein chahe ghar rahna
zindagi se qarib-tar rahna
jis ke ghar jaana mehman ban kar
us ke ghar yar muKHtasar rahna
chahte ho agar mile shohrat
roz ki taza ek KHabar rahna
ye munafi hai aadamiyat ke
be-KHabar aur KHud-nigar rahna
aanch aane na pae izzat par
tum guhar ho sada guhar rahna
karnamon se apne ai hamdam
tum amar ho to phir amar rahna
ye guzarish hai tum se ai 'ibrat'
umr-bhar mere ham-safar rahna
Ghazal
Chahe sahra mein chahe ghar rahna
Ibrat Bahraichi