اردو हिंदी
Chahe kuchh ho zer-e-ehsan apni nadari na rakh | Shaahi Shayari
chahe kuchh ho zer-e-ehsan apni nadari na rakh

Ghazal

Chahe kuchh ho zer-e-ehsan apni nadari na rakh

Hamid Mukhtar Hamid

;

chahe kuchh ho zer-e-ehsan apni nadari na rakh
pattharon se bhar ke ye shishe ki almari na rakh

jang tu jite ki haare ye alag ek baat hai
zehn-o-dil par KHauf dushman ka magar tari na rakh

aaDi tirchhi kuchh lakiren hi milengi sham tak
shahr ke chaurahe par tu apni fankari na rakh

ye buzurgon ki rawa-dari ke pazh-murda gulab
aabiyari chahte hain in mein chingari na rakh

hai tere insaf ka teri taraazu se waqar
baT halke hon to aage chiz bhi bhaari na rakh

zindagi ke aaine ki aab hai 'hamid' KHudi
apni sanson se juda ehsas-e-KHud-dari na rakh