chahe jannat na mile chahe KHudai na mile
hai dua meri yahi tujh se judai na mile
kaun si rah chuni tum ne mohabbat ke liye
chal ke aa jao magar aabla-pai na mile
sath tera ho agar maut bhi aae hamdam
zist jo mujh ko mile tujh se parai na mile
ajnabi apne hi ban jate hain jin se yaro
nam ko mere kabhi aisi burai na mile
jo badal Dale meri baat ka matlab hi 'sahar'
mere ashaar mein aisi bhi safai na mile

Ghazal
Chahe jannat na mile chahe KHudai na mile
Ramzan Ali Sahar