chahe hamara zikr kisi bhi zaban mein ho
kuchh hasraton ki baat bhi rasm-e-bayan mein ho
aae to is waqar se ab ke azab-e-hijr
sharminda ye bahaar bhi ab ke KHizan mein ho
rakkha hai zindagi ko bhi har haal mein aziz
jab ki azab-e-zist bhi apne guman mein ho
niklun teri talash mein jab aasaman par
sadma mere KHayal ko donon jahan mein ho
rasm-e-junun ka bab hai awwal o aaKHiri
likkha nisab-e-dil to kisi bhi zaban mein ho
ye tera husn-e-zan tha ki dil kaam aa gaya
warna to is ka zikr bhi kar-e-ziyan mein ho
kuchh log the safar mein magar ham-zaban na the
hai lutf guftugu ka jo apni zaban mein ho
baiTha hun dur sae se is waste 'said'
aasudgi safar ki usi imtihan mein ho
Ghazal
Chahe hamara zikr kisi bhi zaban mein ho
Saeed Naqvi