chahaton ki jo dil ko aadat hai
ye bhi insan ki ek zarurat hai
hum farishte kahan se ban jaen
ishq insan ki jibillat hai
kaun aaya hai kaun aaega
be-sabab jagne ki aadat hai
kya milenge jo kho gae ek bar
bhiD mein DhunDhna qayamat hai
un ke andaz dushmani mein bhi
dosti ki ajab shabahat hai
mere andar jo mera dushman hai
hu-ba-hu wo meri hi surat hai
un ke wadon se ye hua malum
jhuT sab se baDi sadaqat hai
is qadar dur kyun nikal aae
ab to ghar lauTna qayamat hai
un ke lahje mein un ki baaton mein
chandni-raat ki sabahat hai
ye kahani bhi KHub hai yaro
har jagah ek si ibarat hai
'wajd' yaadon mein un ki gham rahna
rahaton ki hazar rahat hai
kis liye 'wajd' dil-girafta ho
dushmani doston ki aadat hai
Ghazal
Chahaton ki jo dil ko aadat hai
Wajd Chughtai