اردو हिंदी
Chahat tumhaari sine pe kya gul katar gai | Shaahi Shayari
chahat tumhaari sine pe kya gul katar gai

Ghazal

Chahat tumhaari sine pe kya gul katar gai

Rashid Aazar

;

chahat tumhaari sine pe kya gul katar gai
kis KHush-saliqagi se jigar chaak kar gai

rakkhi thi jo sambhaal ke tu ne salamti
wo tere baad kis ko pata kis ke ghar gai

jo zindagi sameT ke rakkhi thi aaj tak
ek lamha-e-KHafif mein yaksar bikhar gai

bhaTke hue the aise ki gard-e-safar ko hum
muD muD ke dekhte rahe manzil guzar gai

ek umr dhup mein jo pali thi wo kashmakash
saya ghane daraKHt ka dekha to Dar gai

hairat hai kuchh pata na chala kaise zindagi
jaisi guzarni thi meri waisi guzar gai

ochhon ki taba 'azar'-e-KHush-KHu se puchhiye
jun hi hawa-e-waqt lagi bas aphar gai