chahat mein kya duniya-dari ishq mein kaisi majburi
logon ka kya samjhane do un ki apni majburi
main ne dil ki baat rakhi aur tu ne duniya walon ki
meri arz bhi majburi thi un ka hukm bhi majburi
rok sako to pahli barish ki bundon ko tum roko
kachchi miTTi to mahkegi hai miTTi ki majburi
zat-kade mein pahron baaten aur milin to mohr ba-lab
jabr-e-waqt ne baKHshi hum ko ab ke kaisi majburi
jab tak hansta gata mausam apna hai sab apne hain
waqt paDe to yaad aa jati hai masnui majburi
ek aawara baadal se kyun main ne saya manga tha
meri bhi ye nadani thi us ki bhi thi majburi
muddat guzri ek wade par aaj bhi qaem hain 'mohsin'
hum ne sari umr nibahi apni pahli majburi
Ghazal
Chahat mein kya duniya-dari ishq mein kaisi majburi
Mohsin Bhopali