chahat ko zindagi ki zarurat samajh liya
ab gham ko hum ne teri inayat samajh liya
khate rahe hain zist mein kya kya mughaalate
qamat ko is hasin ki qayamat samajh liya
kirdar kya raha hai kabhi ye bhi sochte
sajde kiye to un ko ibaadat samajh liya
resham se narm lahje ke pichhe mafad tha
is tajiri ko hum ne sharafat samajh liya
ab hai koi husain na lashkar husain ka
sar kaT gae to hum ne shahadat samajh liya
is tarah umr chain se kaTi 'shakil' ne
dukh us se jo mila use rahat samajh liya
Ghazal
Chahat ko zindagi ki zarurat samajh liya
athar shakeel