chahat ki lau ko maddham kar deta hai
Dar jata hai milna kam kar deta hai
jaldi achchhe ho jaane ka jazba bhi
zaKHmon ko waqf-e-marham kar deta hai
maut to phir bhi apne waqt pe aati hai
maut ka aadha kaam to gham kar deta hai
sau ghazlen hoti hain aur mar jati hain
ek misra tariKH raqam kar deta hai
dil mein aise dukh ne Dera Dala hai
aisa dukh jo aankhen nam kar deta hai
sabr ka daman hathon se mat jaane do
sabr dilon ki wahshat kam kar deta hai
Ghazal
Chahat ki lau ko maddham kar deta hai
Shakeel Jamali