chahat ke ab ifsha-kun-e-asrar to hum hain
kyun dil se jhagaDte ho gunahgar to hum hain
ru aaine ko dete ho bar-aks hamare
aaina rakho talib-e-didar to hum hain
gulshan mein ajab jate ho kar husn ki tazin
is jins-e-dil-ara ke KHaridar to hum hain
kya kabk ko dikhlate ho andaz-e-KHiram aah
hasrat-zada-e-shoKHi-e-raftar to hum hain
ki chashm su-e-nargis-e-bimar to phir kya
is ain inayat ke saza-war to hum hain
dil de ke dil-azar ko kya shikwa-e-bedad
gar sochiye apne liye aazar to hum hain
jis din se phanse dekhi na phir shakl-e-rihai
kya kahiye 'nazir' aise giraftar to hum hain
Ghazal
Chahat ke ab ifsha-kun-e-asrar to hum hain
Nazeer Akbarabadi