chahat ji ka rog hai pyare ji ko rok lagao kyun
jaisi karni waisi bharni ab is par pachhtao kyun
surKH hain aankhen zard hai chehra rangon ki tartib ajib
is be-rang zamane ko tum aise rang dikhao kyun
dil ka dar kab band hua hai koi aae koi jae
jo aae aur kabhi na jae wo mehman bulao kyun
subh ka bhula sham ko wapas ghar aae to ghanimat hai
jin galiyon mein ja ke na lauTo un galiyon mein jao kyun
aas ki Dor bahut nazuk thi bojh paDa to TuT gai
tez hawaen jab chalti hon unchi pech laDao kyun
sari ruten aani-jaani hain har rab ka hai apna rang
rang ka dhoka khane walo apna rang uDao kyun
aas ka daman chhuT gaya to hathon ko aazad na do
apni chadar chhoTi ho to panw bahut phailaw kyun
pyar ki shiddat dil ki hiddat 'baqar' us ko ras nahin
garm hawa ke jhonkon se us phul ko tum kumhlao kyun
Ghazal
Chahat ji ka rog hai pyare ji ko rok lagao kyun
Sajjad Baqar Rizvi