chaha jin ko bhi zindagi ki tarah
wo mile mujh ko ajnabi ki tarah
mujh ko ilham ho gaya shayad
baat karta hun ek nabi ki tarah
jaane kitne sawal ubhre hain
jab bhi socha hai falsafi ki tarah
sara manzar nikharta jata hai
kaun hansta hai aap hi ki tarah
KHub charcha hai go saweron ka
raat phir bhi hai raat hi ki tarah
waqt ki baat hai ki ab tum bhi
hum se milte ho ajnabi ki tarah
ye darindon ka shahr hai is mein
kaun milta hai aadmi ki tarah
Ghazal
Chaha jinko bhi zindagi ki tarah
Balbir Rathi