اردو हिंदी
Chaha bahut ki ishq ki phir ibtida na ho | Shaahi Shayari
chaha bahut ki ishq ki phir ibtida na ho

Ghazal

Chaha bahut ki ishq ki phir ibtida na ho

Baqar Mehdi

;

chaha bahut ki ishq ki phir ibtida na ho
ruswaiyon ki apni kahin intiha na ho

josh-e-wafa ka nam junun rakh diya gaya
ai dard aaj zabt-e-fughan se siwa na ho

ye gham nahin ki tera karam hum pe kyun nahin
ye to sitam hai tera kahin samna na ho

kahte hain ek shaKHs ki KHatir jiye to kya
achchha yunhi sahi to koi aasra na ho

ye ishq hadd-e-gham se guzar kar bhi raaz hai
is kashmakash mein hum sa koi mubtila na ho

is shahr mein hai kaun hamara tere siwa
ye kya ki tu bhi apna kabhi ham-nawa na ho