chah mein us ki dil ne hamare nam ko chhoDa nam kiya
shaghl mein us ke shauq baDha kar kaam ko chhoDa kaam kiya
zulf dupaTTa dhani main kar ke pinhan mera dil bandh liya
said na khawe kyun-kar jal jab sabze mein pinhan dam kiya
ram par apne aahu-e-dil ko ghurra nihayat tha lekin
chanchal aahu-e-chashm ne us ko ek nigah mein ram kiya
samjhe the yun hum dil ko laga kar pawenge yan aaram bahut
haif usi fahmid ne hum ko kya kya be-aram kiya
hum ne kaha jab naz-e-butan ke tum to bahut kaam aae 'nazir'
sun ke kaha kya aae ji han kuchh but ke muafiq kaam kiya
Ghazal
Chah mein uski dil ne hamare nam ko chhoDa nam kiya
Nazeer Akbarabadi