chah kar hum us pari-ru ko jo diwane hue
dost dushman ho gae aur apne begane hue
phir nae sar se ye ji mein hai ki dil ko DhunDiye
KHak kuche ki tere muddat hui chhane hue
tha jahan mai-KHana barpa us jagah masjid bani
TuT kar masjid ko phir dekha to but-KHane hue
hai ye duniya ja-e-ibrat KHak se insan ki
ban gae kitne subu kitne hi paimane hue
aql-o-hosh apne ka 'rangin' ho gaya sab aur rang
kishwar-e-dil mein jab aa kar ishq ke thane hue
Ghazal
Chah kar hum us pari-ru ko jo diwane hue
Rangin Saadat Yaar Khan