soz-e-dua se saz-e-asar kaun le gaya
ek sang-e-dar se nisbat-e-sar kaun le gaya
har shai hai na-tamam ye ehsas kyun hai aaj
har aib se jawaz-e-hunar kaun le gaya
kis ne meri nigah se parde uTha diye
ek ranj-e-agahi ki idhar kaun le gaya
arsa hua ke panw ke niche zamin nahin
wo naqsh-e-pa wo rahguzar kaun le gaya
mere safine mere lahu mein naha gae
mere sarab ke wo bhanwar kaun le gaya
taKHir-e-waqt-e-did teri barhami ka Dar
kitna hasin Dar tha wo Dar kaun le gaya
hairan hai aql 'shaz' ki wahshat kidhar gai
basti udas hai ki khanDar kaun le gaya
Ghazal
Soz-e-dua se saz-e-asar kaun le gaya
Shaz Tamkanat