buz-dili to wo kar nahin sakta
jo hai sachcha wo Dar nahin sakta
jism duniya bhale hi dafna de
pyar zinda hai mar nahin sakta
bhuk mein sirf chahiye roTi
peT baaton se bhar nahin sakta
jhuT chahe buland ho kitna
sach ke aage Thahar nahin sakta
aap dekhen to us ka husn baDhe
aaina KHud sanwar nahin sakta
jo bhi sahil ka hai tamashai
par dariya wo kar nahin sakta
Ghazal
Buz-dili to wo kar nahin sakta
Mohammad Ali Sahil