buTa buTa munh kholega patta patta bolega
jab dharti ko chhoD pakheru aasman par Dolega
us din barkha sharmaegi baadal ki chadar oDhe
aankhon se bahta aansu jab bhed dilon ke kholega
mushkil mein katra jate hain apne bhi kahte hain log
chahne wala bhiD mein jag ki sath kisi ke ho lega
kar kar ke ye yaad diwana un ki mohabbat un ke karam
tanhai mein raaton ki jab waqt mila to ro lega
kal-yug ki pawan ganga mein Dupki kha kha kar har roz
jiwan ki maili chadar se papon ko wo dho lega

Ghazal
BuTa buTa munh kholega patta patta bolega
Sailani Sevte