اردو हिंदी
Bund pani ko mera shahr taras jata hai | Shaahi Shayari
bund pani ko mera shahr taras jata hai

Ghazal

Bund pani ko mera shahr taras jata hai

Naseem Sahar

;

bund pani ko mera shahr taras jata hai
aur baadal hai ki dariya pe baras jata hai

aatishin dhup se milti hai kabhi jis ko numu
wahi pauda kabhi barish se jhulas jata hai

rah tashkil wo arbab-e-wafa ne ki thi
ab jahan qafila-e-ahl-e-hawas jata hai

ho chuki bu-e-wafa shahr se ruKHsat kab ki
koi din hai ki phalon mein se bhi ras jata hai

aadmi par wo kaDa waqt bhi aata hai ki jab
sans lene pas-e-diwar-e-qafas jata hai

tum bhare shahr mein kis Dhang se rahte ho 'nasim'
goya virane mein ja kar koi bas jata hai