bund pani ki hun thoDi si hawa hai mujh mein
is bizaat pe bhi kya turfa ana hai mujh mein
ye jo ek hashr shab-o-roz bapa hai mujh mein
ho na ho aur bhi kuchh mere siwa hai mujh mein
safha-e-dahr pe ek raaz ki tahrir hun main
har koi paDh nahin sakta jo likha hai mujh mein
kabhi shabnam ki latafat kabhi shoale ki lapak
lamha lamha ye badalta hua kya hai mujh mein
shahr ka shahr ho jab arsa-e-mahshar ki tarah
kaun sunta hai jo kohram macha hai mujh mein
toD kar saz ko sharminda-e-mizrab na kar
ab na jhankar hai koi na sada hai mujh mein
waqt ne kar diya 'sabir' mujhe sahra-ba-kanar
ek zamane mein samundar bhi baha hai mujh mein
Ghazal
Bund pani ki hun thoDi si hawa hai mujh mein
Nau Bahar Sabir