bund ban ban ke bikharta jae
aks aaine ko bharta jae
ban ke kal kal jo guzarta jae
apne wade se mukarta jae
ek hi lai mein bahe jata hai
aur lagta hai Thaharta jae
shahr sagar ka bhi ham-zad kahan
mauj-dar-mauj bipharta jae
aks makus hua hai jab se
apni nazron se utarta jae
ek naddi hai ki rukti hi nahin
ek tufan utarta jae
ek konpal mein simaTne ke liye
peD ka peD bikharta jae
Ghazal
Bund ban ban ke bikharta jae
Sheen Kaaf Nizam