bu-e-mai pa ke main chalta hua mai-KHane ko
ek pari thi ki laga le gai diwane ko
mere saqi sa kahan koi pilane wala
aankhen kahti hain luTa dijiye mai-KHane ko
saKHti-e-ishq uThane ka zamana na raha
ab to hai phul bhi pathar tere diwane ko
hath mein aate hi kya panw nikale saqi
aafrin hai tere chalte hue paimane ko
is mein ai ahl-e-watan rae tumhaari kya hai
kahti hai wahshat-e-dil ghar se nikal jaane ko
chal gaya kaam yahan jam chale ya na chale
baada-kash lauT gae dekh kai mai-KHane ko
dil sulagte rahen parwa nahin hoti kuchh unhen
shama achchhi ki jala deti hai parwane ko
shamil-e-daur hon aghyar sitam hai saqi
apne paimane se baDhne de na paimane ko
Husn-e-KHidmat ka sila dekhiye yun pate hain
ruKH mila aaine ko zulf mili shane ko
chaal hai mast nazar mast ada mein masti
jaise aate hain wo TuTe hoe mai-KHane ko
abr mein barq ka rah rah ke chamakna kaisa
ye bhi ek us ki hai shoKHi mere taDpane ko
is mein ai parda-nashin parda-dari kis ki hai
dekhne aati hai KHilqat tere diwane ko
KHub insaf hai ai baada-kasho kya kahna
tum ko taskin ho gardish ho jo paimane ko
hai baDi chiz lagi dil ki KHuda jas ko de
aag mein kud paDa dekhiye parwane ko
ho ke paband-e-junun sab se rihai pai
beDiyan lipTi thin lakhon tere diwane ko
khinch chuki tegh to ab hai ye rukawaT kaisi
aap taDpane ko aae hain ki tarsane ko
koi aisi bhi hai surat tere sadqe saqi
rakh lun main dil mein uTha kar tere mai-KHane ko
but-e-pindar ko toDo to ho dil pak 'jalil'
tum KHuda-KHana banao isi but-KHane ko
Ghazal
Bu-e-mai pa ke main chalta hua mai-KHane ko
Jaleel Manikpuri