bu-e-KHush ki tarah har samt bikhar jaunga
aahani hathon se ab koi daba de mujh ko
main to muddat se chala aata hun pichhe pichhe
gardish-e-waqt kabhi ruk ke sada de mujh ko
din to sara hi kaTa misl-e-charagh-e-kushta
garmi-e-jism sar-e-sham jala de mujh ko
tum mujhe dekh ke jo baat kabhi kah na sake
kya ye mumkin nahin aaina bata de mujh ko
jin ko pane se haqiqat bhi fasana ban jae
ab 'saba' aise sarabon ka pata de mujh ko
Ghazal
Bu-e-KHush ki tarah har samt bikhar jaunga
Saba Jayasi