bu-e-gul raqs mein hai baad-e-KHizan raqs mein hai
ye zamin raqs mein hai sara jahan raqs mein hai
ruh sarshaar hai aur chashm-e-taKHayyul bedar
baad muddat ke wahi shola-e-jaan raqs mein hai
jal uThe zehn ke aiwan mein lafzon ke charagh
aaj phir garmi-e-andaz-e-bayan raqs mein hai
phir kisi yaad ki kashti mein rawan hain lamhat
ju-e-dil raqs mein hai wadi-e-jaan raqs mein hai
kitna jaan-baKHsh hai ye ishq ki wadi ka safar
naghma-zan taifa-e-lazzat-e-jaan raqs mein hai
band aankhon mein larazta hai koi manzar-e-nur
jaise tabinda sitaron ka jahan raqs mein hai
mahzar-e-shauq mein paikar-e-guman se aage
zehn hai naghma-sara jazb-e-nihan raqs mein hai
KHwab to KHwab hain pal bhar mein bikhar jate hain
sach to ye hai ki bas ek kahish-e-jaan raqs mein hai
bich sagar mein to the hausle maujon se buland
aur sahil pe ek ehsas-e-ziyan raqs mein hai
Ghazal
Bu-e-gul raqs mein hai baad-e-KHizan raqs mein hai
Zahida Zaidi