bu-e-gul baad-e-saba lai bahut der ke baad
mere gulshan mein bahaar aai bahut der ke baad
chhup gaya chand to jalwon ki tamanna ubhri
aarzuon ne li angDai bahut der ke baad
nargisi aankhon mein ye ashk-e-nadamat tauba
mauj-e-mai shishon mein lahrai bahut der ke baad
sehn-e-gulshan mein hasin phul khile the kab se
hum hue KHud hi tamashai bahut der ke baad
mehr-o-shabnam mein mulaqat hui waqt-e-sahar
zindagi maut se Takrai bahut der ke baad
mai-e-gul baT gai aasuda labon mein pahle
tishna kaamon mein sharab aai bahut der ke baad
zehn bhaTka kiya dasht-e-gham-e-dauran mein 'salam'
shab-e-gham nind mujhe aai bahut der ke baad
Ghazal
Bu-e-gul baad-e-saba lai bahut der ke baad
Salam Sandelvi