اردو हिंदी
Buton se bach ke chalne par bhi aafat aa hi jati hai | Shaahi Shayari
buton se bach ke chalne par bhi aafat aa hi jati hai

Ghazal

Buton se bach ke chalne par bhi aafat aa hi jati hai

Zaheer Dehlvi

;

buton se bach ke chalne par bhi aafat aa hi jati hai
ye kafir wo qayamat hain tabiat aa hi jati hai

ye sab kahne ki baaten hain hum un ko chhoD baiThen hain
jab aankhen chaar hoti hain murawwat aa hi jati hai

wo apni shoKHiyon se koi ab tak baz aate hain
hamesha kuchh na kuchh dil mein shararat aa hi jati hai

hamesha ahd hote hain nahin milne ke ab un se
wo jab aa kar lipaTte hain mohabbat aa hi jati hai

kahin aaram se do din falak rahne nahin deta
hamesha ek na ek sar par musibat aa hi jati hai

mohabbat dil mein dushman ki bhi apna rang lati hai
wo kitne be-murawwat hon murawwat aa hi jati hai

'zahir'-e-KHasta-jaan shab so raha kuchh kha ke sunte hain
tajjub kya hai insan ko hamiyyat aa hi jati hai