buton ko faeda kya hai jo hum se jang karte hain
KHafa jo zindagi se hun unhen kyun tang karte hain
idhar udhar se phir teri gali mein dil le aata hai
taraf dair o haram ke jab kabhi aahang karte hain
kisi aur hi ke ghar ko kijiyo sayyaad tu tazin
hum apne KHun hi se is qafas par rang karte hain
ba-tang aa kar ke aalam ne gareban chaak kar Dala
butan phir kis liye jame ko apne tang karte hain
use to tab dam ki bhi nahin jun aaina KHuban
'raza' ki tarf se kyun apne ji ko tang karte hain
Ghazal
Buton ko faeda kya hai jo humse jang karte hain
Raza Azimabadi