اردو हिंदी
Buton ka zikr kar waiz KHuda ko kis ne dekha hai | Shaahi Shayari
buton ka zikr kar waiz KHuda ko kis ne dekha hai

Ghazal

Buton ka zikr kar waiz KHuda ko kis ne dekha hai

Hatim Ali Mehr

;

buton ka zikr kar waiz KHuda ko kis ne dekha hai
sharar-e-sang musa ke liye barq-e-tajalla hai

ye hindustan hai yan par buton ka rose mela hai
KHuda jaane wo but ai 'mehr' dewi hai ki durga hai

tasawwur us sanam ka hai hamein kabe se kya matlab
charagh apna hai dagh-e-dil hai jo mandir mein jalta hai

juda hai nemat-e-duniya se lazzat bosa-e-lab ki
wo jogi ho gaya jis ne ye mohan bhog chakkha hai

bata jaez hai kis mazhab mein KHun-e-be-gunah zalim
tu hindu hai musalman hai yahudi hai ki tarsa hai

kiya kafir ne kafir 'mehr' se mard-e-musalman ko
janeu rishta-e-tasbih dagh-e-sajda Tika hai