buton ka samna hai aur main hun
KHuda ka aasra hai aur main hun
yahan aa kar karen kya yas-o-umid
dil-e-be-muddaa hai aur main hun
mila jo KHak mein qadmon se chhuT ke
wo tera naqsh-e-pa hai aur main hun
KHuda jaane buto hota hai kya haal
yahi gar dil mera hai aur main hun
zara aane to de roz-e-qayamat
sanam tu hai KHuda hai aur main hun
sitam hai zulm hai un ki taraf se
mohabbat hai wafa hai aur main hun
pasand ai 'mehr' hai ye qaul-e-ustad
sanam kucha tera hai aur main hun
Ghazal
Buton ka samna hai aur main hun
Hatim Ali Mehr