butan-e-KHisht-o-sang se kalam kar ke aa gaya
ki main tumhaare shahr mein bhi sham kar ke aa gaya
wahan kisi ko yaad bhi nahin tha mera nam tak
jahan main apni zindagi tamam kar ke aa gaya
gali mein khelta hua mila tha apna bachpana
jise main hasraton bhara salam kar ke aa gaya
tumhaara nam phir kured kar udas peD par
KHizan mein fasl-e-gul ka ehtimam kar ke aa gaya
takallufat mein guzar gai hayat-e-sarhadi
ki jaise ajnabi ke ghar qayam kar ke aa gaya
Ghazal
Butan-e-KHisht-o-sang se kalam kar ke aa gaya
Rahat Sarhadi