but-parasti ne kiya aashiq-e-yazdan mujh ko
parda-e-kufr mein hasil hua iman mujh ko
jab talak zulf-e-ruKH-e-yar ka diwana raha
pir samjha kiye hindu-o-musalman mujh ko
chahiye pairahan-e-daman-e-tegh o qatil
tere KHanjar ka hai darkar gareban mujh ko
ab dar-andazi-e-aghyar nahin chal sakti
KHub pahchante hain yar ke darban mujh ko
sharm-e-iza se mere dil ko yaqin hai ai maut
munh na dikhlaegi subh-e-shab-e-hijran mujh ko
KHal-e-ruKH KHizr-e-rah-e-kufr na hota jo tera
dam mein la hi chuke the ye musalman mujh ko
chashm-e-KHun-KHwar ka aaghosh-e-mizha mein hai ye qaul
zeb hai kahiye agar sher-e-niystan mujh ko
jis mein kuchh hoti hai ummid-e-visal-e-mahbub
itni khalti nahin wo gardish-e-dauran mujh ko
ye na malum tha is rang se aaegi bahaar
tauba-e-mai ne kiya saKHt pasheman mujh ko
ishq ne mansab-e-ushshaq jo taqsim kiye
bagh bulbul ko diya kucha-e-jaanan mujh ko
sozish-e-dil se ye parwane ki surat taDpa
dekh kar rone lagi sham-e-shabistan mujh ko
mujh giran-bar ke mahshar mein tulen jab aamal
na subuk kijiyo ai palla-e-mizan mujh ko
kaun andesha-e-farda ka malal aaj kare
mausam-e-gul mein nahin fikr-e-zamistan mujh ko
tere hote hue ai ghairat-e-KHurshid na lun
khoTe damon bhi mile gar mah-e-kanan mujh ko
saf-kashi apni dikhata hai mujhe kya ashrar
yaad hai us ki saf-arai-e-mizhgan mujh ko
lab-e-jaan-baKHsh sanam ka hun jo aashiq to log
jaante hain KHizar-e-chashma-e-haiwan mujh ko
na-tawan wo hun ajab kya sifat pa-e-malaKH
mor le jae agar pesh-e-sulaiman mujh ko
mere zulmat-kade mein laen jo raushan kar ke
kirm-e-shab aae nazar sham-e-shabistan mujh ko
sadd-e-bab ab mera aghyar abas karte hain
nikhat gul hun nahin kuchh gham-e-darban mujh ko
dil-jala main hun wo aashiq ki shab-e-hijr 'qalaq'
shama bhi rone lagi dekh gareban mujh ko
Ghazal
But-parasti ne kiya aashiq-e-yazdan mujhko
Arshad Ali Khan Qalaq