but-parasti ne kiya aashiq-e-yazdan mujh ko
parda-e-kufr mein hasil hua iman mujh ko
ab dar-e-andazi-e-aghyar nahin chal sakti
KHub pahchante hain yar ke darban mujh ko
KHal-e-ruKH KHizr-e-rah-e-kufr na hota jo tera
dam mein la hi chuke the ye musalman mujh ko
jis mein kuchh hoti hai ummid-e-visal-e-masuq
itni khalti nahin wo gardish-e-dauran mujh ko
ye na malum tha is rang se aaegi bahaar
tauba-e-mai ne kiya saKHt pasheman mujh ko
ishq ne mansab-e-ushshaq jo taqsim kiye
bagh bulbul ko diya kucha-e-jaanan mujh ko
dil-jala main hun wo aashiq ki shab-e-hijr 'qalaq'
shama bhi rone lage dekh ke giryan mujh ko
Ghazal
But-parasti ne kiya aashiq-e-yazdan mujhko
Arshad Ali Khan Qalaq