اردو हिंदी
But-parasti ke sanam-KHane ka aasar na toD | Shaahi Shayari
but-parasti ke sanam-KHane ka aasar na toD

Ghazal

But-parasti ke sanam-KHane ka aasar na toD

Sahir dehlavi

;

but-parasti ke sanam-KHane ka aasar na toD
kaba-e-dil mera mast-e-mai-e-pindar na toD

ahd-e-misaq ka lazim hai adab ai waiz
hai ye paiman-e-wafa rishta-e-zunnar na toD

mohtasib sang pe tu shisha-e-mai ko na paTak
dil-e-rindan-e-mai-asham ko zinhaar na toD

rahm kar rahm ki ye chashm-e-chaman ka hai charagh
jalwa-e-gul se hai zinat use ai yar na toD

tauba karni tujhe wajib hi na thi ai 'sahir'
wo jo hona tha hua ab use bekar na toD