but kya hain bashar kya hai ye sab silsila kya hai
phir main hun mera dil he meri ghaar-e-hira hai
jo aankhon ke aage hai yaqin hai ki guman hai
jo aankhon se ojhal hai KHala hai ki KHuda hai
tare meri qismat hain ki jalte hue patthar
duniya meri jannat hai ki shaitan ki saza hai
dil dushman-e-jaan hai to KHirad qatil-e-iman
ye kaisi balaon ko mujhe saunp diya hai
sunte rahen aaram se har jhuT to KHush hain
aur Tok den bhule se to kahte hain bura hai
shaitan bhi rahta hai mere dil mein KHuda bhi
ab aap kahin dil ki sada kis ki sada hai
'aKHtar' na karo un se gila jaur-o-jafa ka
apni bhi KHuda jaane hawas hai ki wafa hai

Ghazal
But kya hain bashar kya hai ye sab silsila kya hai
Saeed Ahmad Akhtar