but-gar hai na koi but-shikan hai
sab wahm-o-guman-e-brahman hai
ye kaun sharik-e-anjuman hai
aankhon ko bhi hasrat-e-suKHan hai
aasan to hai ju-e-shir lekin
kuchh aur hi azm-e-kohkan hai
ai aatish-e-dil adab hai lazim
mujh mein bhi wo bu-e-pairahan hai
viran si ho chali hain rahen
rahbar hai na koi rahzan hai
eajaz-e-ghazal ki KHud 'rawish' se
wo jaan-e-kalam ham-suKHan hai
Ghazal
But-gar hai na koi but-shikan hai
Ravish Siddiqi