bus ki ab zulf ka sauda bhi mere sar mein nahin
kya karun mang ke us ko jo muqaddar mein nahin
wo bhi manzar tha ki KHud mujh mein tha ek ek manzar
ye bhi manzar hai ki ab main kisi manzar mein nahin
ab jo hum KHud ko sameTen to sameTen kitna
sar bhi hai apna khula panw bhi chadar mein nahin
ai mere shauq-e-shahadat tera hafiz hai KHuda
saKHt jaan main bhi hun aur dhaar bhi KHanjar mein nahin
milne ki aas mein kanTon pe bhi chal kar KHush tha
aur ab chain mujhe phulon ke bistar mein nahin
ab meri pyas ke bujhne ka nahin koi sawal
ab mere nam ki sahba kisi saghar mein nahin
baat ye hai ki nazar tab-e-nazar kho baiThi
ye nahin hai ki kashish ab kisi paikar mein nahin
main to sab ka hun rifaqat pe meri sab ko hai naz
koi mera hi magar mere bhare ghar mein nahin
pur-tapak aaj bhi milte hain na jaane kitne
lekin iKHlas 'waqar' in mein se aksar mein nahin

Ghazal
Bus ki ab zulf ka sauda bhi mere sar mein nahin
Waqar Manvi