burqa uTha tha ruKH se mere bad-guman ka
dekha to aur rang hai sare jahan ka
mat maniyo ki hoga ye be-dard ahl-e-din
gar aawe shaiKH pahan ke jama quran ka
KHubi ko us ke chehre ki kya pahunche aaftab
hai us mein is mein farq zamin aasman ka
abla hai wo jo howe KHaridar-e-gul-ruKHan
us saude mein sarih hai nuqsan jaan ka
kuchh aur gate hain jo raqib us ke ru-ba-ru
dushman hain meri jaan ke ye ji hai tan ka
taskin us ki tab hui jab chup mujhe lagi
mat puchh kuchh suluk mere bad-zaban ka
yan bulbul aur gul pe to ibrat se aankh khol
gul-gasht sarsari nahin us gulistan ka
gul yaadgar-e-chehra-e-KHuban hai be-KHabar
murgh-e-chaman nishan hai kasu KHush-zaban ka
tu barson mein kahe hai milunga main 'mir' se
yan kuchh ka kuchh hai haal abhi is jawan ka
Ghazal
Burqa uTha tha ruKH se mere bad-guman ka
Mir Taqi Mir

