buri KHabar hai use mushtahar nahin karte
kisi ke aib ko yun be-hunar nahin karte
mere buzurg hain tul-e-kalam ke shaida
kahaniyon ko kabhi muKHtasar nahin karte
mujhe bhi shauq hai duniya ko fath karne ka
magar pahaD ko ujlat mein sar nahin karte
na jaane kaun sa mausam ho phul-patton ka
isi liye to ye paude safar nahin karte
main aaj apne hi aKHlaq se pareshan hun
takallufat mujhe mo'atabar nahin karte
Ghazal
Buri KHabar hai use mushtahar nahin karte
Javed Nasir