burai kya hai tum ilzam do burai ka
bashar hun main mujhe dawa nahin KHudai ka
kiya hai sajda kabhi ya nahin kiya KHush hun
jabin pe dagh nahin sajda-e-riyai ka
kisi ke ishq mein diwane hum na gar hote
to raaz khul nahin sakta tha parsai ka
zara tum ab kahin chhup jao har taDap lau hain
ki yaad aaya hai mujh ko maza judai ka
nahin hai meri kisi aur ki hai ye bhi hadis
qusur-war agar hun main KHud-satai ka
jise yaqin hai ki us ke nasib mein tum ho
gunah kyun wo kare qismat-azmai ka
rawan-dawan hun mujhe apni dhun mein hosh kahan
bahana le ke jo baiThun shikasta-pai ka
usi ki rah mein kanTe bichhae jate hain
nasib uzr jise hai barahna-pai ka
kise hai ilm nasibon mein mere aap nahin
KHayal chhoD dun kyun qismat-azmai ka
jo ishq aam hai mere liye hai nang-e-hayat
madar aur hai meri ghazal-sarai ka
baDa maza tha taDapne mein tilmilane mein
na bhulta hai na bhulega din judai ka
chaman ho aur shab-e-mahtab-o-halqa-e-ahbab
maza jabhi hai 'jigar' kuchh ghazal-sarai ka
Ghazal
Burai kya hai tum ilzam do burai ka
Jigar Barelvi