bura kahne se mujh ko muddaa kya
koi puchhe to us ne ye kaha kya
sunen hum bhi ki dushman ne kaha kya
bhala jhuTi shikayat ka gila kya
mohabbat ki ye baaten hain meri jaan
wafa ki ibtida kya intiha kya
na kije mujh se ghairon ki shikayat
bhula di aap ne tarz-e-wafa kya
suna hai qais tha laila ka aashiq
mohabbat ho to phir achchha bura kya
jawani mein ye nadani ki baaten
wo kahte hain ki wade ki wafa kya
wafa par jaan bhi qurban hai apni
jo puchhe hum ko us ka puchhna kya
khile the us ke lab ghunche ki surat
bata to do ki 'shankar' se kaha kya
Ghazal
Bura kahne se mujhko muddaa kya
Shankar Lal Shankar