bura ho kar bhi wo achchha bahut hai
wo jaisa hai nahin banta bahut hai
namak to kam nahin hai roz-o-shab mein
swad-e-zindagi phika bahut hai
fareb-e-sadgi hai ya shararat
main ye samjha ki wo mera bahut hai
tujhe socha kiya shab-bhar sanwara
nahin aisa nahin waisa bahut hai
usi se baat karna hai ki jis ne
hamein samjha nahin puchha bahut hai
hamein kuchh der mein manzil milegi
hamara rasta sidha bahut hai
ye banda kaun hai kuchh 'badr' jaisa
wahi jo bhiD mein tanha bahut hai
Ghazal
Bura ho kar bhi wo achchha bahut hai
Badr Wasti