bura bure ke alawa bhala bhi hota hai
har aadmi mein koi dusra bhi hota hai
tum apne des ki saughat ho hamare liye
ki husn tohfa-e-ab-o-hawa bhi hota hai
muqable pe kamar-basta hum nahin hote
agar shikast ka KHatra zara bhi hota hai
tumhaare shahr mein hai ji laga hua warna
musafiron ke liye rasta bhi hota hai
wo chehra ek tasawwur bhi hai haqiqat bhi
daricha band bhi hota hai wa bhi hota hai
hum ai 'shuur' akele kabhi nahin hote
hamare sath hamara KHuda bhi hota hai
Ghazal
Bura bure ke alawa bhala bhi hota hai
Anwar Shuoor