buniyaad-e-jahan mein kaji kyun hai
har shai mein kisi ki kami kyun hai
kyun chehra-e-KHar shagufta hai
aur shaKH-e-gulab jhuki kyun hai
wo wasl ka din kyun chhoTa tha
ye hijr ki raat baDi kyun hai
jis baat se dil mein halchal hai
wo baat labon pe ruki kyun hai
mat dekh ki kaun hai parwana
ye soch ki shama jali kyun hai
na the KHwab to aansu hi hote
mera kasa-e-chashm tahi kyun hai
Ghazal
Buniyaad-e-jahan mein kaji kyun hai
Shahryar