bulbul wo gul hai KHwab mein tu ga ke mat jaga
ya chuTkiyon ki ghunchon se bajwa ke gat jaga
wo gul-ezar bagh mein aawe jo rahm kar
kahte hain gul gulon se karen aaj rat-jaga
hamdam wo bazla-sanj to aate hi so raha
KHush-tabiyon se bol ke baham jagat jaga
ta-subh sham se rahe majlis mein daur-e-jam
saqi hamein jagae to ba-kaifiyat jaga
kaTi hai bekali se shab-e-hijr-e-gul-ruKHan
Tuk aankh lag gai hai saba hum ko mat jaga
hai mujh ko us ki nazuki-e-taba se lihaz
dun warna aankhen panw se mal kar turat jaga
farhad-o-qais chhoD gae kishwar-e-junun
naubat par apni wan ki dila saltanat jaga
Ghazal
Bulbul wo gul hai KHwab mein tu ga ke mat jaga
Waliullah Muhib