bulbul ka uDaya dil nahaq ye KHam-KHayali phulon ki
leti hai talashi baad-e-saba ab Dali Dali phulon ki
ye husn-o-latafat ye KHushbu ye rang-e-faza ye josh-e-numu
aalam hai anokha kaliyon ka duniya hai nirali phulon ki
misl-e-bulbul nikhat se chhuTe dam bhar ko chaman mumkin hi nahin
hoti hai tasadduq phulon par KHud rahne wali phulon ki
mana ki luTae raaton ko gulzar mein moti shabnam ne
jab subh hui suraj nikla to jeb thi KHali phulon ki
gulchin ki bhi nazren uThti hain sarsar ke bhi jhonke aate hain
ho aise mein kis se kyun kar kab tak ye rakhwali phulon ki
aati hai KHizan ab ruKHsat kar zinda jo rahe phir aaenge
hum se to na dekhi jaegi mali pamali phulon ki
har barg-e-shajar par KHush ho kar gulshan mein nichhawar karne ko
nikhat ka KHazana khol diya himmat hai ye aali phulon ki
phir rut badli phir abr uTha phir sard hawaen chalne lagin
ho jae pari ban jae dulhan ab Dali Dali phulon ki
haaron mein gundhe jakDe bhi gae gulshan bhi chhuTa sina bhi chhidda
pahunche magar un ki gardan tak ye KHush-iqbaali phulon ki
sayyaad ke ghar se gulshan tak allah kabhi pahunchae mujhe
ummid nahin main KHush ho kar dekhun KHush-haali phulon ki
gul-gasht mein bhi chalte phirte kaam us ne kiya ayyari ka
iKHlas baDha kar phulon se har baat uDa li phulon ki
mashuqon ke dahne baen to ushshaq ka majma rahta hai
dekhi na anadil se hum ne mahfil kabhi KHali phulon ki
hum apne dil mein daghon ko yun dekhte hain yun dekhte hain
karta hai nigahbani jaise gulzar mein mali phulon ki
jo lutf kabhi hasil tha hamein wo lutf chaman ke sath gaya
ab kunj-e-qafas mein khinchte hain taswir-e-KHyali phulon ki
shabnam ke bhi qatre gulshan mein bad-mast kiye dete hain mujhe
labrez mai-e-ishrat se hui ek ek pyali phulon ki
har misra-e-tar se hai paida gul-ha-e-mazamin ka jalwa
ai 'nuh' kahun main is ko ghazal ya samjhun Dali phulon ki
Ghazal
Bulbul ka uDaya dil nahaq ye KHam-KHayali phulon ki
Nooh Narvi