bulbul gulon se dekh ke tujh ko bigaD gaya
qumri ka tauq sarw ki gardan mein paD gaya
chin-bar-jabin na ai but-e-chin rah ghurur se
taswir ka hai aib jo chehra bigaD gaya
aai to hai pasand use chaal yar ki
sun lijo panw kabk-e-dari ka ukhaD gaya
pichhe haTa na kucha-e-qatil se apna panw
sar se taDap ke chaar qadam aage dhaD gaya
khinchi jo meri tarah se qumri ne aah-e-sard
jaDe ke mare sarw chaman mein akaD gaya
shirin ke shefta hue parwez-o-kohkan
shaer hun main ye kahta hun mazmun laD gaya
allah-re shauq apni jabin ko KHabar nahin
us but ke aastane ka patthar ragaD gaya
darman se aur dard hamara hua do-chand
marham se dagh sine mein nasur paD gaya
guldasta ban ke raunaq-e-bazm-e-shahan hua
kuDa jo us faqir ke takiye se jhaD gaya
nikla na jism se dil-e-nalan sharik-e-ruh
manzil mein rang naqa se apne bichhaD gaya
pahuncha majaz se jo haqiqat ki kunah ko
ye jaan le ki raste mein pher paD gaya
furqat ki shab mein zist ne apni wafa na ki
qabl-e-sahar charagh hamara na baDh gaya
pata hun shauq-e-wasl mein ahbab ki kami
husn-o-jamal-e-yar mein kuchh farq paD gaya
lashon ko aashiqon ke na uTTho gali se yar
basne ka phir ye ganw nahin jab ujaD gaya
dekha tujhe jo KHun-e-shahidan se surKH-posh
turk-e-falak zamin mein KHajalat se gaD gaya
barson ki rah aa ke azizan nikal gae
afsos karwan se main apne bichhaD gaya
aaya jo sharh-e-lal-e-lab-e-yar ka KHayal
jhanDa qalam ka apne badaKHshan mein gaD gaya
main nai liya baghal mein pari-ru visal ko
dew-e-firaq kashti mein mujh se bichhaD gaya
'atish' na puchh haal tu mujh dard-mand ka
sine mein dagh dagh mein nasur paD gaya
Ghazal
Bulbul gulon se dekh ke tujhko bigaD gaya
Haidar Ali Aatish