bulbul-e-rangin-nawa KHamosh hai
bagh ki sari faza KHamosh hai
gul khilae us ne kya kya bagh mein
phir bhi kis darja saba KHamosh hai
aarzu jin ki thi mujh ko mil gae
ab zaban-e-iltija KHamosh hai
be-kasi ye kis ne li teri panah
gor ka kis ki diya KHamosh hai
shorish-e-dil shorish-e-mahshar nahin
zindagi apni bhi kya KHamosh hai
sochti hai ja ke ye barse kahan
mere ashkon ki ghaTa KHamosh hai
kis ko jine ki tamanna hai yahan
kyun lab-e-mojiz-numa KHamosh hai
husn-e-dilkash ka bhi kya andaz hai
naz goya hai ada KHamosh hai
hai yahan 'najmi' usi ka shor-o-ghul
go ba-zahir wo sada KHamosh hai
Ghazal
Bulbul-e-rangin-nawa KHamosh hai
Amjad Najmi