اردو हिंदी
Bulbul bajae apne tujhe ham-nawa se bahs | Shaahi Shayari
bulbul bajae apne tujhe ham-nawa se bahs

Ghazal

Bulbul bajae apne tujhe ham-nawa se bahs

Waliullah Muhib

;

bulbul bajae apne tujhe ham-nawa se bahs
washud mein gul ki mahz ghalat hai saba se bahs

aaine ko na chahiye aashiq ke dil ke sath
bar-aks apni shakl ke ru-e-safa se bahs

ab to ghurur-e-husn hai aisa butan tumhein
mutlaq mahall-e-KHauf nahin hai KHuda se bahs

mabhas se us maqam ke KHarij hai daKHl-e-ghair
jab aashna ko aan paDe aashna se bahs

bulbul hazar naghma-sara hoe bagh mein
kab kar sake hai nala-e-dil ki sada se bahs

dana na us ko samjhiye jo ghair KHamushi
dil KHasta ho falak ke kare aasiya se bahs

kab shama tere husn ke shoale ke ru-ba-ru
mahfil mein kar sake kam-o-besh-e-ziya se bahs

tausan ne teri nazuki gulshan mein KHatm ki
aaj aab-o-rang-e-gul ki hawas par hawa se bahs

gulshan mein chaak pairahan-e-gul kiya 'muhib'
bulbul ne kar ke us but-e-gulgun-qaba se bahs