اردو हिंदी
Bulandiyon se wo be-dagh nur ubhar aae | Shaahi Shayari
bulandiyon se wo be-dagh nur ubhar aae

Ghazal

Bulandiyon se wo be-dagh nur ubhar aae

Maratib Akhtar

;

bulandiyon se wo be-dagh nur ubhar aae
hazar rang tahi wusaton mein bhar aae

khile nigah ki shaKHon pe intizar ke phul
hawa mein uDte hue baadban nazar aae

labon se bichhDe hue qahqahe teri manind
ruten guzar gain lekin na lauT kar aae

bujhi bujhi hui aankhen bhanwar bhanwar chehre
jab aaftab ki lau bujh rahi thi ghar aae

buland-o-past pahaDon ke silsilon ki tarah
hum apne aap ko bhi muntashir nazar aae

nadi nasheb-numa uljhanon mein Dub gai
nihan sukut tah-e-ab se ubhar aae