bulandiyon se utar kar kabhi pukar mujhe
azal se tere karam ka hai intizar mujhe
tere jamal-e-shafaq-rang ka zuhur hun main
mila hai teri tamazat se ye waqar mujhe
tawil umr se fikr-o-nazar ki qaid mein hun
nigah-e-waqt ki suli se ab utar mujhe
teri wafa ka bharam meri zat se mansub
muKHalifon ki safon mein na kar shumar mujhe
haqiqaton ko samajh maslahat-shanas na ban
fasil-e-jabr se KHud bhi nikal ubhaar mujhe
teri talab ki kaDi dhup mein bhi hun lekin
ata ho abr-e-karam peD saya-dar mujhe
main tirgi ko amanat teri samajhta hun
tu raushni hai to koi kiran utar mujhe
Ghazal
Bulandiyon se utar kar kabhi pukar mujhe
Kavish Bat